Wednesday, December 24, 2008

Ae Humsafer

Ae Humsafer
Ager
Tum Bhi
Mujhe Tanha Chorde gay
To
Ab Ke
Main Mur jaoon ga....!

Tuesday, November 25, 2008

zuban khamosh hai ankhoon main nami hai

zuban khamosh hai ankhoon main nami hai
yeahi bus ik dastan-e-zindagi hai
bharnay ko to her zakhim bhar jaye ga,
per kaisay bhare gi woh jagha jahan aapki kami hai

Saturday, October 25, 2008

Toot Jatay hain Sabhi Rishthay Mager

Toot Jatay hain Sabhi Rishthay Mager
Dil se Dil Ka Ristha Apni Jagha

Dil ko hai tujh se Na milnay ka Yaqeen
Phir Bhi Tujhay Paa linay ki Dua Apni Jagha

Thursday, September 25, 2008

Chalo yeah bhi Maan liya ke Dil maira hai Sungdil

Chalo yeah bhi Maan liya ke Dil maira hai Sungdil
Lekin ik such yeah bhi jan lo ke main dil ka bura nahien

Monday, August 25, 2008

Ik Shaire

Wo Kum Naseeb, Us Se Jo Bichray Thay aik bar
Kehna Use Ke log wo Ab tuk basay nahien

Friday, July 25, 2008

hisab-e-umer ka itna sa Goshwara hai

hisab-e-umer ka itna sa Goshwara hai
Tumhain nikal ke dekha to sab hisara hai

Wednesday, June 25, 2008

Mairay khawaboon ke Gulshan main

Mairay Khawaboon ke gulshan main hazain raqas kertien hain
Mairay hontoon ki larzish main wafien Raqas kertien hain

Mujhe wo lakh tarpaye mager us shakhas ki khatir
Mairay dil ke andeeroon main duien raqas kertien hain

use kehna ke lout aye sulagti sham se pehlay
kisi ki khushak ankhoon main sadien raqas kertien hain

niklta hai pari chehra kabhi jo raat ko yaroo
andeeray toote jatay hain ziyaien raqas kertien hain

uterta hoon kabhi jub bhi kitaboon ke sumander main
kisi khawabeeda chehray ki adaien raqas kertien hain

Khuda jannay "Saad" kaisy kashish hai tery yadoon main
Main tera ziker keroon to hawaien raqas kertien hain

Wednesday, May 28, 2008

Mudatoon se yahi Aalam na tuwaqa hai koi

Mudatoon se yahi Aalam na tuwaqa hai koi
dil pukaray hi chala jata hai jana jana

hum bhi kia sada thay hum ne bhi samjh rakha tha
ghum-e-doran se juda hai ghum-e-jana jana

ab ke kuch aisy saji mehfal-e-yaran jana
ser ba rano hai koi ser begiraiban jana

her koi apni hi awaz se kanp uthta hai
her koi apnay hi saye se hirasan jana

jisko dekho wohi zanjeer-e-pa lagta hai
sheher ka sheher huwa dahal-e-zandan jana

ab tera ziker bhi sahayad ghazal main aye
aur se aur hoye durd ke unwan jana

hum ke roti hoi rut ko bhi mana laitay thay
hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijran jana

hosh aya to sabhi khawab thay re-zah re-zah
jaisay urtay hoye awraq parishan jana

Monday, April 28, 2008

Kuch Ashar

meh-qaday band kerien lakh zamnay walay
Sheher main kum nahien ankhoon se pilanay walay

Friday, March 28, 2008

Muhabbat chup nahien rehty

Muhabbat be-sabad tarpaye rakhty hai , kaha us ne
kaha main ke yeah asbab kia shay hai muhabbat main

Wo kehty hai sitaray ansoon main kion chamktay hain
main kehta hoon muhabbat roshni main rung bharti hai

wo kehty hai hawa ke hath main kia kia nahien ata
main kehta hoon jo dehleezoon ke ander dafan hota hai

wo kehty hai zamnay ko diloon se runj kion hai
main kehta hoon , yeah arzoo to sadioon ki kismet hai

wo kehty hai tumharay bad kion barish nahien hoti
main kehta hoon mairy jaan hijer sahraoon main rehta hai

Thursday, February 28, 2008

Dil dhardknay ka sabab yaad aya

Dil dhardknay ka sabab yaad aya
Wo teri yaad thi ab yaad aya

Aaj mushkil tha sambhlna ae dost
to museebat main ajab yaad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aya

tera bhoola huwa peman-e-wafa
mer rahien gay ager ab yaad aya

phir koi log nazer se ghuzray
phir koi sheher-e-tarab yaad aya

haal-e-dil hum bhi sunatay lekin
jab wo rukhsat huwa tab yaad aya

beth ker saya-e-gul main nasir
hum buhat roye jab wo yaad aya

Monday, January 28, 2008

tang aa chuke hain kushmakush-e-zindagi se hum

tang aa chuke hain kushmakush-e-zindagi se hum
thukra na dien jahan ko kahien be-dilli se hum

mayoosi-e-maal-o-muhabbat na poochye
apnoon se paish aye hain be-ganagi se hum

lo aaj hum ne torde diya rishta-e-umeed
lo ab kabhi ghilla na kerien gay kisi se hum

ubrien gay ik bar abhi dil ke walwalay
go dub gaye hain bar-e-ghum zindagi se hum

ager zindagi main mil gaye phir itfaq se
poochien gay apna haal teri be-basi se hum

Allah re Faraib-e-mushiyat ke aaj tuk
duniya ke zulim sehtay rahay khamosho ke sath
hum ghum zada hain laien kahan se khushi ke geet
dien gay wohi jo paien gay zindagi se hum