Friday, March 28, 2008

Muhabbat chup nahien rehty

Muhabbat be-sabad tarpaye rakhty hai , kaha us ne
kaha main ke yeah asbab kia shay hai muhabbat main

Wo kehty hai sitaray ansoon main kion chamktay hain
main kehta hoon muhabbat roshni main rung bharti hai

wo kehty hai hawa ke hath main kia kia nahien ata
main kehta hoon jo dehleezoon ke ander dafan hota hai

wo kehty hai zamnay ko diloon se runj kion hai
main kehta hoon , yeah arzoo to sadioon ki kismet hai

wo kehty hai tumharay bad kion barish nahien hoti
main kehta hoon mairy jaan hijer sahraoon main rehta hai