tang aa chuke hain kushmakush-e-zindagi se hum
thukra na dien jahan ko kahien be-dilli se hum
mayoosi-e-maal-o-muhabbat na poochye
apnoon se paish aye hain be-ganagi se hum
lo aaj hum ne torde diya rishta-e-umeed
lo ab kabhi ghilla na kerien gay kisi se hum
ubrien gay ik bar abhi dil ke walwalay
go dub gaye hain bar-e-ghum zindagi se hum
ager zindagi main mil gaye phir itfaq se
poochien gay apna haal teri be-basi se hum
Allah re Faraib-e-mushiyat ke aaj tuk
duniya ke zulim sehtay rahay khamosho ke sath
hum ghum zada hain laien kahan se khushi ke geet
dien gay wohi jo paien gay zindagi se hum
Monday, January 28, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)