Mudatoon se yahi Aalam na tuwaqa hai koi
dil pukaray hi chala jata hai jana jana
hum bhi kia sada thay hum ne bhi samjh rakha tha
ghum-e-doran se juda hai ghum-e-jana jana
ab ke kuch aisy saji mehfal-e-yaran jana
ser ba rano hai koi ser begiraiban jana
her koi apni hi awaz se kanp uthta hai
her koi apnay hi saye se hirasan jana
jisko dekho wohi zanjeer-e-pa lagta hai
sheher ka sheher huwa dahal-e-zandan jana
ab tera ziker bhi sahayad ghazal main aye
aur se aur hoye durd ke unwan jana
hum ke roti hoi rut ko bhi mana laitay thay
hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijran jana
hosh aya to sabhi khawab thay re-zah re-zah
jaisay urtay hoye awraq parishan jana
Wednesday, May 28, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)