Saturday, March 28, 2009

kia tum bhool pao gay

kia tum bhool pao gay
wo din aur wo ratien
jo hum batien kertay huway guzaar daitay thay
kiya tum bhool pao gay
jab hum ik doosray ko sochtay rehtay thay
din main khiyal ban ker sath rehtay thay
raat ko khuwab ban ke sath nibhatay thay
kiya tum bhool pao gay
wo din aur wo ratien
main tum ko ghusa kerta
tum mujh ko manaya kertay
tum mujh per hukam chalatay
main chup chaap manta rehta
kia tum bhool pao gay
wo din aur wo ratien
wo baat baat per rooth jana
aur ik muskrahat per maan jana
din lartay huway guzaar daina
raat ko payar bhara qarar daina
kiya tum bhool pao gay
wo din aur wo ratien
ik doojay ki yaadoon main khoye rehna.
her pal ik doojay ki sapnay dekhna
zara si doori per tarap jana
kiya tum bhool pao gay
wo din aur wo ratein

Saturday, March 21, 2009

Itazar

waqat ki gird se
atay hoye kuch khawab apnay
palkoon ke hisar main
Qaid paray hain
ankhoon main chupa rakhay thay
jo selab kitnay
beh nikalnay ko hain
aiyna dil pe mairay
kuher C jummi hai
hamien faqat intazar hai uska
ke kabhi to bad-e-saba
nazer ke sahra se ghuzray
is tarah ke
nikher aien phir
hamaray kuch gulab sapnay

Saturday, March 14, 2009

mujhe manzloon se aziz hain teri rah-ghuzar ki musaftien

mujhe manzloon se aziz hain teri rah-ghuzar ki musaftien
ke likhi hain mairay naseeb main abhi umer bhar ki musaftien

usi ik pal ki talash main jise log kehtay hain zindagi
teri rah-ghuzar main bikher gaien , mairy umer bhar ki musaftien

hain baray ajeeb se wastay ke garaiz paa sabhi rastay
wo teri nigha ke faslay yeah mairy nazer ki musaftien

Saturday, March 7, 2009

yaar ke ghum ko ajab naqas gari ati hai

yaar ke ghum ko ajab naqas gari ati hai
por por ankh ke manad bhari nazer ati hai

be-taluq na hamien jaan ke hum jantay hain
kitna kuch jaan ke yeah be-lhabri nazer ati hai

is qader ghondna parti hai lahoo se mutti
hath ghul jatay hain koza gari ati hai

kitna rakhtay hain wo is sheher-e-khamooshan ka khayal
roze ik naoo ghulaboon se bhari ati hai

zindagi kaisay baser ho gi ke hum ko tabish
Saber ata hai na ashfata sari ati hai

Saturday, February 28, 2009

Ahed-e-wafa

yeahi shakh tum jiske neechay kisi ke liye chasam-e-num ho
ab se kuch saal pehlay
mujhe ik choti C bachi milli thi jise main ne Aghosh main
le ke poocha tha beti
yahan kion khardi ro rahy ho
mujhe apnay anchal main apnay boseeda gehnay dekha ker
Wo kehnay lagi
maira sathi uder, usne apni ungli utha ker batya , udher
us taraf hi,
jidher unchay mehloon ke guband, millon ki saya chimtiyan , Asman
ki taraf Ser uthaye khardi hain
yeah keh ker gaya hai ke main sonay chandi ke gehnay
tere wastay lainay jata hoon

Khuwahish

chaloo ab apnay jaisay namuradoon se hansien bolien
jo wo kehtay hain wo ho lien ---
jabeen ke dagh ankhoon ka lahoo dho lien---
chaloo is but ko bhi ro lien